Jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
Mata jaki parvati pita mahadeva || Jai….
Ek dant dayavant char bhuja dhari
Mathe par tilak sohe moosh ki sawaari || Jai..
Andhe ko aankh det kodhin ko kaya
Banjhan ko putra det nirdhan ko maya || jai..
Haar chade phul chade aur chade meva
Laduan ka bhog lage sant kare seva || Jai..
Deenan ki laaj rakho, shambhu putra vari
Manorath ko pura karo, Jaye balihari ||
Jai ganesh jai ganesh jai ganesh deva
Mata jaki parvati pita mahadeva || Jai..
No comments:
Post a Comment